Jeevan path sadiyon se,
raha kara ek oomang,
sirf raastey miltey ,
kabhi cahurey ,kabhi tang .....
hahakaar hai ,chittkaar hai ,
yeh insaan ka,insaan se,
kaisa vyabhachaar hai ?......
har chauraha iss jag main ,
jaam sa kyon hai ? ,
maanav tu itna ,
badnaam sa kyon hai ?.....
roz subeh ,akhbaar ,khoon main sana aata hai,
vichlit toh ho jaata hi hai man,
ke kahin kho gaya hai aman ,,,,,,,
aaj bhi ,vediyon pe jalti hain betiyaan ,
sasti hai ,tere mere shareer ki boti ,
kintu ,mehngi hai do waqt ki roti .......
aaj behta hai ,khoon sadkon pe,
toh usme rawaani ,kahan se hogi ?,
jab loot jata hai bachpan ,
toh insaan main jawaani kahan se hogi ......
bhramit mann bola karey ,
ishwar basta hai mann main,
phir paakhandi sa bann,
dhoonda karta maanav ussey kann kann main......
ek baar phir ,raam aatey ,
raheem aatey,magar ,
gardish main parey iss jag ko dekh,
shayad wo bhi hain sharmaatey .......
deir bahut ho gayi ,
magar shayad ,baat ban jaaey ,
chalo ,ek koshish sab mil kartey hain,
ho sakey phir se sab kuch salona ban jaaey............
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment