Monday, October 26, 2009

Hope always floats.......

sunahre dhoop ke galichey pe dil bichha ke laata hoon ,
haan tumhare liye hi main roz gungunata hoon,

sabdon main kabhi pyaar ko piroya,
kabhi na milne ki teesh liye raat bhar roya,

dil ke galiyaaron main raat bhar tumhari parchai dhoonta hoon,
har aati jaati saans ke saath ,tumhare hi sajde karta hoon .

socha kal, gar saath saath hoti hamari takdeerein to kya gunah hota?
hoti tumhari lakeerein hamari hatheli pe bhi ,gar hamein hamsafer chuna hota ,

kal kal behta jeevan apna raasta dhoondh leta hai ,
aaj tumhari yaadon ke jharokhon ko, ye dil moond leta hai ,

jeevan chakra hai ye ,bhaawnao se anjaan hai,
aaj phir koi humsafar, iss dil ka mehmaan hai

No comments:

Post a Comment