Monday, October 26, 2009

Confused It's Love ......

behti purvai ke byaar si wo aati hai ,
dil ke patton ko apne marm sparsh se choo jaati hai ....

kahin to chali hogi koi byaar,
yoon hi nahi ho jata kisi se pyaar pyaar.....

unhe pyaar karne ka maza hi kuch aur hai ,
ye raaton ko jaagne ki saza hi kuch aur hai ......

unka pyaar ,pyaar se bhi pyaara hai ,
unki hasi ne hamare har lamho ko sawaara hai ....

likhta chala jaaunga, aaunga nahi ab baaz,
goya ab to samajh jao yahi hai hamare pyaar ka andaaz ....

No comments:

Post a Comment