Jo hota ,wo hota kyon hai ?
jo nahi hokey hota ,usko
hona hota kyon hai ?
jitney jawab hain ,uss se
shat guna zyada ,sawal kyon hai ?
dhooyein ke gubaar ke peechey
itna bawaal kyon hai ?
koi bahi -khaata ,koi rashiid
zindgaani rakhti hogi ,
hanstey chehrey par bhi
pareshani jhalakti hogi ...
kann sa ye mann sunta
kyon nahi hai ,mann main chidda
ye rann thamta kyon nahi hai ?
soch ke daayrey ke bahar
sach ki kayari kyon hai ?
ek jhooth sau sach pe
bhaari kyon hai ?
gun-gunatey geeton ki boli
ab mann samajhta kyon hai ?
laakh chala kiya main peechey
ye samay aagey sadaiw badhta kyon hai ?
samvedna main bhi vedna kyon hai ?
jarr main bhi chetna kyon hai ?
kaun sunega ?kaun samjhega ?
phir bhi rakt patiil ye hriday ,
itna umarta kyon hai ?
sadiyon se iss KYON ne
sabko hai lubhaya
bhramit kar isne sabko
hai bhatkaya ....
KYON ke peechey mat bhaag
naadani hai .....
surr pakad toh sahi
zindagi ki gazal badi suhani hai ....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment