Thursday, May 6, 2010

CHOORI WAALA .....

Aaj shaam,chaurahey par ,
chai ki garm chuskiyon
ke beech ,achanak se nigahein
kahin ja ke thithak gayin.....

dhoomil si hoti umar ke
uss parao par ,seedhi aati
sadak se ,daayen jaati
uss ghumao par ,ek
choori waala khada tha .....

asthool shareer,safed ,kuch
ugi ,kuch naa ugi dadhiyon
ke beech ,umeed se saji ,
do aankhein,kuch tatol
rahi thi .....

jeehwa choori lelo ,bol
rahi thi ,fefra khokla ho
chala tha,boltey -boltey
wo khaansh ke ,apne seeney
ko khangol raha tha .chasmey
ke bheetar ki ,moti -moti aankhon
se ,wo jag ko naap- tol raha tha ....

neeli,peeli,laal,hari,
khan -khan karti
masti se bhari,har tareh ki
chooriyan thi,bechta tha choori wo,
uski bhi kuch majbooriyan thi .....

aati jaati har sunder haathon
ko tatol kar ,puraani chooriyon
ko khol kar ,nayi chooriyan wo
pehnata tha ,koney main kharey
apne bhookey bacchey ko dekh,wo
sarmata tha ........

chaar ki chai ,ek ki mathhi
bhooki pet ,ban chuki thi bhatti,
do joon ki roti ,sunder gharwaali
ki khooli hui choti ,inko sanjoney
ki ladai main ,uska jeevan kahin kho gaya ,
har ki tarah, main bhi gahr aaya ,chaar
panktiyaan uspe likhi ,aur aur so gaya.......

No comments:

Post a Comment